Bihar Board Matric Inter 2027 Exam Form Last Date 17 November 2026 | Aakhri Mauka

Bihar School Examination Board (BSEB) ne Matric (10th) aur Inter (12th) Annual Exam 2027 ka form bharne ka aakhri mauka diya hai. Jin students ka exam form abhi tak nahi bhara gaya hai, unke liye form 7 November 2026 se 17 November 2026 tak bhara jayega.


Zaroori baatein:

- Form 7 November se 17 November 2026 tak.

- Form student khud nahi bharega. School ya college ke Pradhanacharya (Principal) online form bharenge.

- Form late fee (vilamb shulk) ke saath bhara jayega.

- Ek mobile number se sirf ek student ka form bharega.


Kya karein:

1. Turant apne school ya college jaiye.

2. Principal ya exam incharge se baat kijiye.

3. Apna naam, pita-mata ka naam, subject aur photo dhyan se check karwaiye, taaki marksheet me galti na ho.


Form nahi bhara to 2027 ki board exam me baith nahi payenge. Isliye der mat kijiye.


Video dekhiye:



Aur jankari ke liye Rohit Tech Seva YouTube channel subscribe kijiye.

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

Mobile Hack Ho Gaya? Pehchan, Bachav aur Shikayat 1930

Bihar Board Dummy Admit Card 2027 Download Kaise Kare | 10th 12th Galti Sudhar 7 Nov Tak